Personal Computer Ki Hindi Me Jankaari

Personal computer ki hindi me jankaari

personal computer kya hai, personal computer ki hindi me jankaari.

personal computer micro computer ka ek rup hai isko bol chaal ki bhasha mein PC bhi kaha jata hai iska Nirman Samay ki jarurat ke karan hua pahle ke computer aakar main bahut Bade, dhime or kam vishvsaniya they usse Bhi Buri baat yah thi ki unki Keemat Bahut jyada thi jo saadharan upyog karta ki pahunch se baahar thi Samay ke anusar computer ke Aakar Meri badlav aaya aur Unki takat bhi Pehle Se Jyada badhti Gayi aur is Douraan unki kimat main bhi badlaav aaya, lekin phir bhi yah badi badi companiyon dwaara kharide jaane laayak rahe.

1970 ke baad microprocessor banaye gaye jis se micro computer ka Janam hua yah aakaar main bahut chote they parantu unki Shakti bahut jyada thi inki Keemat bhi Aisi thi madhyan shredi ki compniyaan bhi khareed kar Laga sake.
Tab yah vichaar Aaya Ki Aisa computer Banaya Jaye Jo Har EK Aadmi ka Apna computer Ho jise Ek Sadharan Aadmi khareed Sakte.

PC ka vikaas

Duniya Ki Sabse Badi computer Banane wali company IBM ne 1981 mein apna personal computer banane ki Ghoshna ki isko IBM PC Kaha Gaya Iski ki chamta bahut kam thi,

Vastamaiya cable computer Ke sokino Ke Liye Banaya Gaya Tha yah Aakar mein Itna Chota tha ki Mage ke Ek kone par bhi Rakha Ja sakta tha parantu Yeh Itna Pasand Kiya Gaya ki Sabhi company essay banane ke liye Daud Padi iske sath hi inki taakat badaane ki kosis bhi ki gayi, jisse pc-xt or pc-at saamne aaye.

Praarambh main sabhi pc MS-DOS operating system par chalte they Windows operating system ka vikaas hone par inhe Windows par chalaaya jaane laga jaise jaise windows ka vikaas hota gaya vaise vaise adhik chamta ki pc ki aavashyakata padti gayi isse Pentium naam se personal computer bazaar main aaye. Jo ki aajkal sabse jyaada prachalit hain aajkal bade aakar ke computer ungliyon par ginne laayak rah gaye hain aaj ke Pentium computeron ki sakti bade computeron ki sakti se takkar leti hai jabki unki kimat ki tulna main bahut kam hai.

Shuru main pc main lagaaye jaane waale processor 8 bit ke hote the parantu pc-at tatha Pentium main lagaaye jaane waale processor 16 ya 32 bit ke hote hain inki kaam karne ki gati bahut adhik hoti hai aajkal puraane pc-xt tatha pc-at lagbhag samaapt ho gaye hain or kewal Pentium shreni ke pc adhik prachalan main hai inki gati bahut tej hoti hai tatha bandaaran chamta bhi adik hoti hai.

Pc ke bhed (kinds of pc)

Pc ke janm ke baad ab tak pc ki kai pidit aan saamne aa chuki hain unmein mukhya hai pc-xt (personal computer- extended technology) pc-at (personal computer-advanced technology) Pentium-1, Pentium-2, Pentium-3, or Pentium-4.

Inmein mukhya processor tatha bandaaran chamta ka hota hai, pc main lagaaye jaane waale micro processor Intel-8086 parivaar ke hote hain IBM ne apne pahle pc ke liye intel-8088 micro processor ko pasand kiya tha baad ke sabhi IBM PC main intel-8086 parivaron ke processor lagaaye jaate hain.

PC ke mukhya bhaag (main parts of pc)

Koi bhi pc chahe kisi bhi prakar ki ho pc-xt, pc-at ya Pentium or kisi bhi company ka bana ho uske mukhya bhaag lagbhag vahi rahte hain jisse poora personal computer banta hai.

Kisi computer ke mukhya bhagon ko uska system configuration (system configuration) kaha jaata hai.

Pc main nimn likhit aavashyak bhaag hote hain.

  1. System Unit
  2. Monitor
  3. Keyboard
  4. Printer
  5. Floppy Drive
  6. Hard Disk Drive
  7. Mouse
  8. CD-ROM Drive

Iske alaawa computeron main aavashyakata ke anusaar nimnalikhit bhaag bhi ho sakte hain.

  • Joystick
  • Scanner
  • Speaker)
  • Mike
  • CD-Writer

Leave a Comment